Wednesday, August 28, 2013

Kab bhulaye jatay hain dost juda ho kar wasi

Kab bhulaye jatay hain dost juda ho kar wasi,
Dil toot tou jata hai...rehta phir bhi seenay main hai.

Raat ka khana mat chorna

Raat ka khana mat chorna, chahay aik meethi khajoor keyoon na ho,
keyonkay raat ka khana chorna aadmi ko zaeef kar deta hai.

Khabsoorti tou hattam aur tabdeel ho jati hai..


Khabsoorti tou hattam aur tabdeel ho jati hai,
Lekin seerat na tou hattam hoti hai, na tabdeel

Sunday, August 25, 2013

Acchay logon ko azmanay ki koshish na karna - Hazrat Umar

Acchay logon ko azmanay ki koshish na karna,
keyon kay acchay logon ki misaal heeray jaisi hai,
jab tum inhain thokar maro ge tou tootay ge nahi
lekin phisal kar tumari zindagi se door chalay jayen ge.

Insaan bhi kya cheez hai - Sheikh Saadi

Insaan bi kya cheez hai!
Daulat kamanay keliye apni sehat kho deta hai aur phir sehat wapis lanay keliye apni daulat kho deta hai.

Mustaqbil ko soch kar apna haal zaya krta hai aur phir mustaqbil main apna maazi yaad kr kay rota hai.

Jeeta aisay hai jaisay kabhi marna he nahi hai aur mar aisay jata hai jaisay kabhi jiya he nhi.

(Sheikh Saadi)

Ghamon se Nijaat k

Ghamon se Nijaat

Thursday, August 22, 2013

Aik aadmi aadhi raat kay waqt uth kay dua maang raha tha

Aik aadmi aadhi raat kay waqt uth kay dua maang rha tha- Ya rabb ul Alameen! jab kay saari dunya so rhi hay magar main teri ibadat kar rha hoon.... saath wali chaar payee se awaaz aayee, beghairta, apni dua mant, sadiya shaktian tay na la...

Ghalti Karnay aur gunaah chornay main kabhi dair mat karo


Ghalti Karnay aur gunaah chornay main kabhi dair mat karo keyon kay,

safar jitna taweel hota hai wapsi itni he kathan aur mushkil ho jati hai.

Wednesday, August 21, 2013

Zindagi main chaar cheezain ko kabhi mat torna


Zindagi main chaar cheezon ko 
kabhi mat torna,
Wada, dil, nata, aur bhrosa,
kehon k jab yeah toottay 
hain tou awaaz nhi hoti,
lekin dil bahot dukhta hai!!!!!

Juda ho kar bhi dono ji rahay hain


juda ho kar bhi dono ji rhay hain ek muddat se
kabhi dono he kehtay thay kay aisa ho nhi sakta

Mehsoos tou kar sakta hoon par choo nhi sakta


Mehsoos tou karta hoon par choo nhi sakta ay dost.
tum phool nhi phool ki khushboo ki tarrah ho

Ae mere Rabbe Azwajal


Ay Mere Rabbe Azwajal, main bahot laa char hoon meri madad farma, mujhay dunya ki mukhtaji se bacha aur sirf apna mukhtaj rakh. (Aameen)

Tuesday, August 20, 2013

Beatiful Art


Ek Sardar Roti ka aik Tukra

Ek sardar roti ka aik tukra khud aur aik tukra murghi ko khila rha tha.
Dost ne poocha: yeah kya kr rhay ho
Sardar: Doctor ne kaha tha k kuch din murghi k saath khao sehat mand ho jao ge.

Mere marnay per sab khus hongay fraz


Meray marnay per sab khush hongay!! fraz
Bas ek tanhai roey gi k mera hamsafar chal basa

Insan Ka Husn os ki zuban main posheeda hai.

Insan Ka Husn os ki zuban main posheeda hai.

Monday, August 19, 2013